Saturday, October 20, 2012

Nai subah ki koshish

Dekhte hi dekhte asmaan peela padh gaya
Jab dekha dhyaan se to vo meri parchai thi
Dekhte hi dekhte paani ka rang laal ho gaya
Jab dekha dhyaan se to vo meri tanhai thi


Jab dekha khud ko ayine main to sulakh ke palke zameen pe giri
Gaalon ne mere aasuon ko sahara dene se mana kar dia
Mere hathon ne meri chaati ko peetne se mana kar dia
Mere peron ne mere shareer ko thikana na dia
Mera shareer dhabak apni zameen to talashne niche gira


Azaadi dene se mere bhagwaan ne usse mana kar dia
Mere paas jaane ko kahin nahi
Maine bhi ye sochna chorr
Zindagi jeene ka rasta dhundana shuru kar diya!!