Wednesday, January 26, 2011

Duniya sab janjaal hai



Kabhi lagta hai ye saali duniya kya hai


Bhooke ko pyaas hai
Gareeb ko roti nahi sharaab ki aas hai
Toote dil jodne ki dawa nahi
Par budhape ki nishani khatam ki daud bhaag hai
Kabhi lagta hai ye saali duniya kya hai

Jo chala gaya uski yaad main roya jata hai
Jo hai vo pyrar ki aas main khoya jata hai
Khuwaish to thi asmaan ki hume
Mui takdeer aisi nikli ki marte hue khuda zameen ki dhool chata jata hai
Kabhi lagta hai se saale duniya kya hai

Kehte hain ki ma-baap ke peron main duniya sama jaati hai
Tab kya karein jab unhi ki nazar muh pe tamacha maar jaati hai
dil to karta hai aaj hi duniya chhode dun,
par kya karein saali duniya hi aisi hai ki
shatranj ki bisaad bicha ke humein bas mohra hi bana jaati hai…

(BOSS DUNIYA KAYA KAHUN MAIN BAS ultimate!!!)

No comments:

Post a Comment